ITMINAAN, NAMAZ KA RUKUN HAI
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k
ek shaks masjid mein dakhil hua, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa
Sallam masjid k kooney mein tashreef farma they, us shaks ne namaz padhi
(aur ruku, sujood, qoumey aur jalsey ki ri'aayat na ki aur jaldi jaldi
namaz padh kar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein
hazir hua aur aapko salaam kiya, aapne farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM")
wapas ja, phir namaz padh, is liye k tooney namaz nahi padhi" wo gaya
phir namaz padhi (jis tarah pehle be-qaadah padhi thi) phir aaya aur
salaam kiya aapne phir farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM") ja phir namaz
padh, kyunki tooney namaz nahi padhi, us shaks ne teesri ya choothi baar
(be-qaadah) namaz padhne k baad kaha "Aap mujhey (namaz padhne ka sahih
tareeqa) sikha de" to aapne farmaya "Jab namaz k iraadey se uthey to
pehle khoob acchi tarah wuzu kar, phir qiblah rukh khada ho kar takbeer e
tehrima keh, phir quran majeed mein se jo tere liye aasaan ho padh,
phir ruku kar, yaha tak k itminaan se ruku (poora) kar, phir (ruku se)
sar utha yaha tak k (qoumey mein) seedha khada ho ja, phir sajdah kar
yaha tak k itminaan se sajdah (mukammal) kar, phir itminaan se apna sar
utha aur (jalsa mein) baith ja, phir sajdah kar yaha tak itminaan se
sajdah (poora) kar, phir (sajdey se) apna sar utha aur (doosri rakaat k
liye) seedha khada ho ja, phir is tarah apni tamaam namaz poori kar".
(Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 793, Sahih Muslim Kitabus Salaat
Hadees no. 397)
Is hadees mein jis namazi ka zikr hai wo ruku aur sujood
bahut jaldi jaldi karta tha, qouma aur jalsa itminaan se thehar thehar
kar nahi karta tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne har baar
usey farmaya k phir namaz padh kyunki tuney namaz padhi hi nahi, aapne
un arkaan ki adaaigi mein adm itminaan ko namaz k baatil honey ka sabab
qaraar diya hai.
Hazrat Huzaifa bin Yamaan Razi Allahu Anhu ne ek shaks
ko namaz padhte hue dekha jo ruku aur sujood poori tarah ada nahi kar
raha tha Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu ne usey kaha k "Tooney namaz hi
nahi padhi aur agar tum (isi tarah namaz padhte hue) mar gaye to us
tareeqey par nahi maroogey jis par Allah ta'ala ne Muhammad Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ko paida kiya tha". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees
no. 791)
Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte
hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aadmi ki
namaz durust nahi hoti yaha tak k ruku aur sujdey (se sar utha kar
bilkul itminaan k saath khada ho kar ya baith kar) apni peeth seedhi na
kare". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 855, Tirmizi Kitabus Salaat
Hadees no. 265, Imam Tirmizi aur Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba e
Kiraam Razi Allahu Anhum se pucha k sharaabi, zaani aur choor k mutalliq
tumhara kya gumaan hai (yaani unka gunah kitna hai)? Sahaba Razi Allahu
Anhum ne kaha "Allah aur uske Rasool behtar jaante hai, aapne farmaya k
ye gunah e kabeera hai aur un mein saza bahut hai, aur (kaan khool kar)
suno bahut buri choori us aadmi ki hai jo apni namaz mein choori karta
hai, Sahaba Razi Allahu Anhu ne kaha wo kis tarah? farmaya "Jo namaz ka
ruku aur sajdah poora na kare wo namaz mein choori karta hai". (Muatta
Imam Malik 1:167 Baab amal fi jamey salaat, Ibne Hibban wa Sunan al
Kubra Behaqui 8:209-210 , ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)
Allahu Akbar! kis qadar khoof ka maqaam hai aah! hamari
gair masnoon namazo ka kya hashar hoga? hamey namaz ko takbeer e oula se
le kar salaam pherne tak masnoon tareeqey se ada karna chahiye.
Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz mein shamil hue
us waqt aap ruku mein they, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne saff
mein pahunchne se pehle hi ruku kar liya aur usi haalat mein chal kar
saff mein pahunchey, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat
bataayi gayi, aapne farmaya "Allah tera shoonq ziyaadah kare aayindah
aesa na karna". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 783)
Baaz loog is hadees se ye nukta lete hai k agar namazi
halat e ruku mein imam k saath shamil ho to wo usey rakaat shumaar
karega kyunki Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne rakaat nahi dohraayi na hi
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey aesa karne ka hukm diya aur is
se ye bhi maloom hua k qayaam zaroori hai na fatiha, ye moquf mahal e
nazar hai kyunki:
1. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey
rakaat lotaane ka hukm diya ya nahi? ya unhone az-khud rakaat lotaaya
thi ya nahi? iske mutalliq hadees khamoosh hai is zaman mein jo kuch bhi
kaha jata hai wo mehaz zann wa ehtamaal ki bunyaad par kaha jata hai.
2. Iske bar-aks aese sareeh dala'il mojood hai jo (har
sahib e istata'at k liye) qayaam aur fatiha dono ko lazim qaraar dete
hai.
3. Qaadah ye hai k jab ehtamaal aur sarahat aamney
saamney aa jaye to ehtamaal ko chood diya jayega aur sarahat par amal
kiya jayega.
4. Seedhi si baat hai k is hadees shareef ka markazi
nukta Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka ye fa'al hai k pehle wo haalat
e ruku mein imam k saath shamil hue phir isi kefiyat mein aagey badhte
hue saff mein dakhil hue, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey isi
fa'al se roka tha, jama'at mein shamil hoone ka shoonq baja magar us
shoonq ki takmeel ka ye tareeqa behar-haal mustahsan na tha.
5. Lihaza is hadees ko iske asal nukte se hata kar
qayaam aur fatiha se khaali rakaat k jawaaz par lazim lana durust maloom
nahi hota. (Wallahu Aalam)
No comments:
Post a Comment