JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR
Bismillahirrahmanirraheem
ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR KARTE WAQT AHLE JANNAT K CHEHREY KHUSHI SE DAMAK RAHE HONGEY
"Us rooz kuch chehrey taro taaza hongey apne rabb ki taraf dekh rahe hongey". (Surah Qiyaamah Surah no. 75 Ayat no. 22-23)
JANNAT MEIN JANNATI LOOG IS QADR WAZEY TAUR PAR ALLAH TA'ALA KA
DEEDAAR KARENGEY JIS TARAH CHOODHVI RAAT K CHAAND KO WAZEY AUR MUKAMMAL
SHAKAL MEIN DEKHA JATA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya ya Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya qayamat k rooz hum apne rabb ko
dekhengey? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya
choodhvi raat ka chand dekhne mein tumhey koi dikkat hoti hai?" loogo ne
arz kiya "Nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jab baadal na ho to kya
sooraj dekhne mein tumhey koi dikkat paish aati hai?" loogo ne arz kiya
"nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir isi tarah
(bagair kisi dikkat aur mushakkat k) tum (qayamat k rooz) apne rabb ka
deedaar karogey". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Jareez bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum loog
Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir they
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne choodhvi k chaand ki taraf dekha aur
farmaya "Anqareeb tum apne rabb ko isi tarah (bila zahmat aur bila
takleef) dekhogey jis tarah us chaand ko bila zahmat aur bila takleef
dekhte ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid wa Mawazius Salaah)
Hazrat Suhaib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab jannati loog jannat mein
chale jayenge to Allah tabak o ta'ala irshad farmayengey tumhey koi aur
cheez chahiye?" wo arz karengey ya Allah! kya tooney hamare chehrey
roshan nahi kiye? kya tooney hamey jannat mein dakhil nahi kiya? kya
tooney hamey aagh se nijaat nahi dilaayi (aur kya chahiye?) phir
achanak (jannatiyo aur Allah ta'ala k darmiyaan haayil) pardah uth
jayega aur jannatiyo ko apne rabb ki taraf dekhna har us chehrey se
ziyaadah mehboob lagega jo wo jannat mein dekhe gaye". (Sahih Muslim
Kitabul Emaan)
DUNYA MEIN ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR MUMKIN NAHI
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya "Aapne apne rabb ka deedaar
kiya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah to
noor hai, mein use kese dekh sakta hu". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abdullah (bin Mas'ood) Razi Allahu Anhu Allah ta'ala k irshad
"MA KAZABAL FU'AADU MAA RA'AA" (Tarjuma: jo kuch dekha, dil ne us mein
jhoot nahi milaya Surah Najam Surah no. 53 Ayat no. 11) ki tafseer mein
farmate hai yaha dekhne se muraad Jibraeel Alaihis Salaam ko dekhna hai
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha k unke 600 parr hai. (Sahih
Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Allah ta'ala k irshad "WALAQAD
RA'AAHU NAZLATAN UKHRA" (Tarjuma: ek dafa phir Muhammad Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ne us ko (Sidratul Muntaha k qareeb) utarte dekha Surah
Najam Surah no. 53 Ayat no. 13) ki tafseer mein farmate hai k Muhammad
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doosri baar jibraeel Alaihis Salaam ko
dekha. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR HASIL HONE KI DUA
Hazrat Ammaar bin Yasir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E
Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam (namaz mein darood shareef k baad) ye
dua maanga karte they Tarjuma: "Ae Allah! tere ilm e ghaib aur makhlooq
par teri qudrat k waseeley se sawal karta hu k tu mujhey us waqt tak
zindah rakh jab tak tere ilm k mutabiq meri zindagi mere haqq mein
behtar hai aur us waqt mujhey wafaat de jab tere ilm k mutabiq meri
wafaat mere haqq mein behtar hai, Ae Allah! mein gareeb aur hazir (yaani
har waqt aur har jagah) aapse darne ki tofeeq talab karta hu neez ranj
aur khushi (har haalat mein) aapse haqq baat kehne ki tofeeq talab karta
hu ameeri aur gareebi (dono haalato mein) aapse mayanah ravi ki tofeeq
talab karta hu aapse aesi naimat talab karta hu jo kabhi khatam na ho,
aankho ki aesi thandak ka sawaal karta hu jo hamesha jaari rahe aapke
har faisle par raazi rehne ki tofeeq talab karta hu, mout k baad aaraam
deh zindagi ka sawaal karta hu aur aapki zaat e mubarak ko dekhne ki
lazzat ka sawal karta hu, aapse mulaqaat k shooq ka sawaal karta hu,
mein teri panah talab karta hu aesi takleef se jo (mere deen aur dunya
ko) nuqsaan pahuchaye aur teri panah talab karta hu aese fitne se jo
gumraah kare, ae Allah hamey emaan ki zeenat se mazeen farma aur hamey
hidayat yaafta loogo ka rehnuma bana". (Sunan Nasayi Kitabus Salaat baab
zikr baada tash’had)
No comments:
Post a Comment