JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 2 OF 3
Bismillahirrahmanirraheem
MUTTAQI AUR ACCHEY AKHLAAQ WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya kaun sa amal
sabse ziyaadah loogo k jannat mein jaane ka sabab banega? Aap Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Taqwa aur accha akhlaaq" phir Aap
Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Kaun sa amal sabse
ziyaadah loogo k aagh mein jaane ka ba'as banega?" Aap Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne irshad farmaya "mana aur sharm-gaah". (Sunan Tirmizi
Kitabul Birr wa Silah)
YATEEM KI KIFALAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Yateem ki kifalat karne
wala khawah yateem ka hi rishtedaar ho ya koi aur ho, aur mein jannat
mein un do ungliyo ki tarah (saath saath) hongey imam Malik Rahimahullah
ne angisht aur shahadat aur darmiyaani ungli se isharah kar ke bataya".
(Sahih Muslim Kitabuz Zuhad)
HAJJ E MABROOR ADA KARNE WALA HAAJI JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Umrah un tamaam
gunaaho ka kaffarah hai jo mojoodah aur guzishta umraah k darmiyaan
sarzad hue ho aur hajj e mabroor ka badla to jannat hi hai". (Muttafiqun
Alaih, Kitabul Umrah)
MASJID BANAANE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu kehte hai mene
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Jisne
Allah k liye masjid banaayi Allah ta'ala uske liye usi tarah ka ghar
jannat mein banayega". (Sahih Muslim Kitabul Zuhad)
SHARM-GAAH AUR ZUBAAN KI HIFAZAT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY
Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks mujhe zamanat de
us cheez ki jo do cheezo k darmiyaan hai (yaani zubaan) aur us cheez ki
jo do taango k darmiyaan hai (yaani sharmgaah ki) mein use jannat ki
zamanat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)
HAMSAAYA (PADOOSI) SE HUSN E SALOOK KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi
ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya
ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! falah aurat din ko roozey
rakhti hai aur raat ko qayaam karti hai lekin hamsiyo ko azeeyat
pahunchati hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye
aurat jahannam mein hai" phir Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne (ek
doosri aurat k baare mein) arz kiya "falah aurat sirf farz namaz ada
karti hai aur mamooli khaane peene ki cheez sadqa karti hai lekin
hamsiyo ko azeeyat nahi pahunchati" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne
irshad farmaya "Ye aurat jannati hai". (Musnad Ahmad tamalul minhu
bayanul khisal al mojbata bil jannah Hadees no. 136)
ALLAH TA'ALA K 99 NAAM YAAD KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala k 1
kam 100 yaani 99 naam hai jisne yaad kiye wo jannat mein dakhil huwa".
(Muttafiqun Alaih, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 1714)
HAFIZ E QURAAN JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hafiz E Quraan jab
jannat mein dakhil hoga to use kaha jayega quraan ki tilawat karta ja
aur darje par chadhta ja chunanchey wo har aayat k badle mein ek darja
buland hota jayega hatta k aakhiri aayat tak pahunchega jo use yaad hogi
aur wahi uska (mustaqil) darja hoga". (Sunan Ibne Maja Kitabul Adab)
KASRAT SE SALAAM KARNE WALE LOOG JANNAT MEIN DAKHIL HONGEY
Hazrat Abdullah bin Salaam Razi Allahu Anhu kehte hai
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo! salaam
phelao (yaani kasrat se kiya karo) (loogo ko) khana khilaao, aur jab
(doosre) loog soo rahe ho to namaz padho (un aamaal k nateeje mein)
salamati k saath jannat mein dakhil hongey". (Sunan Tirmizi Abwabul
Sifatul Qiyaamah)
MAREEZ KI IYAADAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mareez ki iyadat karne wala jab
tak wapas na aa jaye tab tak jannat k baagh mein rehta hai". (Sahih
Muslim Kitabul Birr wa Silah)
ALLAH KI RAZA K LIYE DEEN KA ILM SEEKHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ilm e deen
hasil karne k liye raasta tey kare Allah ta'ala uske liye jannat ka
raasta (tey karna) aasaan farma dete hai". (Sahih Muslim Kitabul Zikr wa
Dua)
ACCHI TARAH WUZU KARNE K BAAD KALMA E SHAHADAT PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai
Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo
shaks acchi tarah poora wuzu kare phir kahe "ASH'HADU ALLA ILAHA
ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU (yaani mein gawahi deta
hu k Allah k siwa koi mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa
Sallam Allah k bandey aur uske rasool hai)" uske liye jannat k aatho (8)
darwaazey khool diye jaate hai jis se chaahey dakhil ho". (Sahih Muslim
Kitabut Taharah)
SUBAH WA SHAAM SAYYADUL ASTAGFAAR PADHNE WALA SHAKS JANNAT MEIN DAKHIL HOGA
Hazrat Shaddad bin Aous Razi Allahu Anhu kehte hai k
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sabse afzal
astagfaar ye hai k tum kaho "Ae Allah! to mera rabb hai tere siwa koi
ila nahi tooney hi mujhe paida kiya hai mein tera banda hu, tujh se kiye
hue waadey par apni istata'at k mutabiq qayam hu, apne kiye hue burey
kaamo k wabaal se teri panah chahta hu, mujh par tere jo ehsanaat hai
unka aetaraaf karta hu aur apne gunaaho ka iqraar karta hu, mujhe bakhs
de kyunki tere siwa koi bakhashne wala nahi" Rasool Allah Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ye kalmaat yaqeen k saath din k
waqt padhey aur shaam se qabl faut ho jaye to wo jannati hai aur jisne
raat k waqt yaqeen k saath ye kalmaa kahe aur subah hoone se pehle faut
ho gaya wo bhi jannati hai". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 2070)
JIS SHAKS KI BEENAAYI KHATAM HO JAYE AUR WO US PAR SABR KARE TO JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai mene
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k
"Allah ta'ala farmata hai k jab mein apne bande ko uski do mehboob
cheezo (aankho) se aazmaata hu aur wo us par sabr karta hai to uske
badle mein use jannat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabul Marz)
MAA BAAP KI KHIDMAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne irshad farmaya "Us shaks ki naak khaak aalood ho ruswa aur
zaleel ho halaak ho jisne apne waledayn mein se kisi ek ko budhaape
mein paya phir (unko raazi karke) jannat mein dakhil na hua". (Sahih
Muslim Kitabul Birr wa Silah)
MUSALMANO SE KISI PARESHANI YA TAKLEEF KO DOOR KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek darakht
musalmano ko takleef deta tha ek shaks aaya usne wo darakhat kaat diya
aur jannat mein chala gaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)
BEEMARI PAR SABR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Ata bin Abi Ribah Rahimahullah kehte hai Hazrat
Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne mujhse kaha kya mein tujhe
jannati aurat na dikhao? mene arz kiya kyu nhi? Hazrat Abdullah bin
Abbas Razi Allahu Anhu ne (ek aurat ki taraf irsharah karke) kaha ye
kaali aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein
hazir hui aur arz kiya mein mirgi ki mareez hu aur (mirgi k doraan) mera
satar khul jata hai Aap Allah ta'ala se mere liye dua farmaiye (Allah
mujhe sehat ata farmaye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad
farmaya "Agar tu chahey to sabr kar tere liye jannat hai aur agar tu
chahey to Allah se tere liye dua karta hu wo tujhe sehat ata farma dega
(is soorat mein jannat ka wada nahi karta) us aurat ne arz kiya mein
sabr karungi lekin saath ye bhi arz kiya (mirgi k dooran) mera satar
khul jata hai Allah ta'ala se dua farmaiye k mera satar na khuley Rasool
E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske liye dua farmayi". (Sahih
Bukhari Kitabus Sabr)
NABI, SHAHEED, SIDDEQUE, PAIDA HOTE HI FAUT HONE WALA
BACCHA AUR ALLAH KI RAZA K LIYE APNE BHAAYI SE MULAQAAT KARNE WALA
JANNAT MEIN JAYEGA
APNE SHOHAR SE MUHABBAT KARENE WALI, ZIYADAH BACCHO KO JANAM DENE KI TAKLEEF UTHAANE WALI AUR APNE SHOHAR K ZULM PAR SABR KARNE WALI KHATOORN JANNAT MEIN JAYEGI
APNE SHOHAR SE MUHABBAT KARENE WALI, ZIYADAH BACCHO KO JANAM DENE KI TAKLEEF UTHAANE WALI AUR APNE SHOHAR K ZULM PAR SABR KARNE WALI KHATOORN JANNAT MEIN JAYEGI
Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tumhey jannat
mein jaane wale mardo k baare mein na batlau? (suno!) Nabi jannati hai,
shaheed jannati hai, siddeque jannati hai, paida hote hi faut hone wala
baccha jannati hai, door daraaz se apne bhai ko mehaz Allah ki raza k
liye milne wala jannati hai, kya mein tumhey jannat mein jaane wali
aurato k baare mein na batlau? apne shohar se muhabbat karne wali,
ziyaadah baccho ko janam dene (ki takleef uthaane) wali, aur wo naik
aurat k jiska shohar us par zulam kare to kahe "Mera haath tere haath
mein hai us waqt tak nahi sooungi jab tak to raazi na ho jaye".
(Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2601)
To Be Continued......
No comments:
Post a Comment