KHUTBA E NIKAH K MASA'IL
Bismillahirrahmanirraheem
AN ABDILLAHI (IBNE MAS'OODIN RAZI ALLAHU ANHU) QALA ALLAMNA
RASOOLULLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KHUTUBATAL HAAJATI (INNAL HAMDA
LILLAHI WA NASTA'EENUHU WA NASTAGFIRUHU WA NA'OOZU BIHI MIN SHUROORI
ANFUSINA MAYY'YAHDI HILLAHU FALA MUZILLALLAHU, WA MAYY'YUZLIL FALA
HAADIYALAHU, WA ASH'HADU AN LAA ILAAHA ILLALLAHU WA ASH'HADU ANNA
MUHAMMADAN WA RASOOLUHU (YA AYYUHAN NAASUT TAQU RABBAKUMUL LAZI
KHALA'QAKUM MIN NAFSIU WAAHIDATIU WA KHALAQA MINHA ZAUJAHA WA BASSA
MINHUMA RIJAALAN KASEERAU WA NISAAA AN WATTAQULLAHAL LAZI TASAA ALOONA
BIHI WAL ARHAAMU INNALLAHA KANA ALAIKUM RAQEEBA)(YA AYYUHAL LAZEENA
AAMANUT TAQULLAHA HAQQA TUQATIHI WALA TAMOOTUNNA ILLA WA ANTUM
MUSLIMOON)(YA AYYUHAL LAZEENA AAMANUT TAQULLAHA WA QOOLOO QAULAN
SADEEDA, YUSLEEH LAKUM AAMAALAKUM WA YAGFIRLAKUM ZUNUBAKUM WA MAYY'YUTI
ILLAHA WA RASOOLUHU FAQAD FAAZA FAUZAN AZEEMA).
Tarjuma: Hazrat Abdulllah (bin Mas'ood Razi Allahu Anhu) kehte hai
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey (darj e zail) khutba
haajat sikhaya "Beshak hamd Allah hi k liye hai hum usi se madad talab
karte hai, usi se magfirat chahte hai apne nafs ki buraiyo se Allah ki
panah maangte hai jise Allah hidayat de use koi gumraah karne wala nahi
aur jise wo gumraah kare use koi hidayat dene wala nahi aur mein gawahi
deta hu k Allah k siwa koi aur ila (mabood) nahi, Muhammad Sallallahu
Alaihi Wa Sallam uske bande aur Rasool hai, Ae loogo jo emaan laye ho
daro us Allah se jiske naam se tum ek doosre se sawaal karte ho aur darr
wa raham k rishte toodne se beshak Allah ta'ala tumhare uper nigehbaan
hai" (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 1) "Ae loogo! jo emaan laye ho
daro Allah se jis tarah us se darne ka haqq hai aur tumhe maut na aaye
magar is haal mein k tum uske mutee wa farmabardaar ho" (Surah Ale Imran
Surah no. 3 Ayat no. 102) "Ae loogo! jo emaan laye ho daro Allah se aur
baat seedhi seedhi kaho, us tarah wo tumhare aamaal ki islaah farma
dega, jisne Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at
ki usne badi kaamyaabi hasil ki" (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no.
70-71). (Musnad Ahmad, Sunan Abu Dawood, Sunan Tirmizi, Sunan Nasayi,
Sunan Ibne Maaja, Sunan Daarmi, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1860)
No comments:
Post a Comment