SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN
Bismillahirrahamanirraheem
SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA
SALLAM K TAMAAM AQWAAL WA AF'AAL KI MIN WA AN USI TARAH PAIRVI KARNE KI
KOSHISH FARMATE JIS TARAH NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE
SUNTE YA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO KARTE DEKHTE THEY, CHAND
MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
ITTEBA E SUNNAT K LIYE SUNNAT KI MASLEHAT AUR HIKMAT SAMAJH MEIN AANA ZARURI NAHI
ITTEBA E SUNNAT K LIYE SUNNAT KI MASLEHAT AUR HIKMAT SAMAJH MEIN AANA ZARURI NAHI
1. Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k ek dafa
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu
Anhum ko namaz padha rahe they k doraan e namaz Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne joote utaar kar baayi jaanib rakh diye, jab Sahaba E Kiraam
Razi Allahu Anhum ne dekha to unhone bhi apne jootey utaar diye, Rasool E
Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz khatam ki, to unhone daryaft
farmaya "Tum loogo ne apne jootey kyu utaare?" Sahaba E Kiraam Razi
Allahu Anhum ne arz kiya "Humne chunkey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam
ko jootey utaarte hue dekha, lihaza humne bhi apne jootey utaar diye"
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Jibraeel
Alaihis Salaam ne aa kar bataya k Mere jooto mein galazat hai" ya kaha
takleef deh cheez hai (lihaza mene jootey utaar diye) phir Aap
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko
naseehat farmayi "Jab masjid mein namaz padhne aao to pehle apne jooto
ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme galazat ho to use saaf karlo,
phir unme namaz padho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Awwal Hadees no.
605)
2. Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhum farmate hai k marwaan ne
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madeena ka (qayim muqaam)
governar banaya aur (khud kisi kaam se) makka chale gaye, usi doraan
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne namaz e juma padhayi, pehli
rakaat mein Surah Juma aur doosri rakaat mein Surah Munafiqoon tilawat
ki, Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhu kehte hai namaz k baad mein
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se mila aur arz kiya aapne wahi
suratey tilawat farmayi jo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu (apne ahad e
khilafat mein) koofa mein padhaya karte they, Hazrat Abu Hurairah Razi
Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko
ye dono suratey namaz e juma mein padhte suna hai (isi liye mene padhi
hai)". (Sahih Muslim Kitbuj Juma)
3. Hazrat Nafaey Rahimahullah kehte hai k Hazrat Abdullah ibne Umar
Razi Allahu Anhu ne baasuri ki aawaaz suni to apni dono ungliya kaano
mein thoosli aur raaste ki doosri simt kaafi door nikal gaye aur mujhse
pucha "Ae Nafaey! kya kuch sun rahe ho?" mene arz kiya kya "nahi!" tab
unhone apni ungliyo kaano se nikaali aur farmaya "Mein Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne baasuri ki aawaaz suni aur aese hi kiya (jese mene ab kiya
hai) Hazrat Nafaey ne ye bhi bataya k us waqt mein chooti umar ka ladka
tha". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 4116)
4. Hazrat Halaal bin Yasaaf Razi Allahu Anhu kehte hai hum Saalim bin
Ubaidullah k paas they k ek aadmi ne cheenk maari aur kaha "ASSALAMU
ALAIKUM" Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne uske jawab mein kaha "WA
ALAIKA WA ALA UMMUKA" (yaani tujh par aur teri maa par bhi salaam) phir
kaha jo mene kaha hai shayad us par tujhe nagawaari mehsoos hui hai,
aadmi ne jawab diya k meri khawahish thi k tum meri maa ka acche alfaaz
mein tazkira karte na bure alfaaz se, to Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu
ne kaha "Suno mene ye jawab is liye diya hai k hum Nabi E Akram ki
khidmat mein hazir they k ek aadmi ne cheenk maari aur "ASSALAMU
ALAIKUM" kaha, to uske jawab mein Nabi E Arkam ne bhi yahi jawab diya
"WA ALAIKA WA ALA UMMIKA" (lihaza mene bhi wesa hi kaha hai) aur phir
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use bataya jab cheenk maro
to "ALHAMDULILLAH" kaho raavi kehta hai k Aap ne baaz degar hamd k
kalmaat ka bhi zikr kiya tha aur phir Aap ne farmaya "cheenkne wale k
paas jo shaks mojood ho use "YAR HAMUKALLAH" kehna chahiye aur cheenkne
wale ko phir "YAGFIRULLAHU LANA WALAKUM" kehna chahiye. (Mishkaatul
Masabeeh juzz e Saani Hadees no. 4741)
5. Hazrat Nafaey Rahimahullah se riwayat hai k ek aadmi ne Hazrat
Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu k paas cheenk mari aur kaha "ALHAMDU
LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" Hazrat Abdullah bin Umar Razi
Allahu Anhu ne farmaya "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" to
mein bhi kehta hu (yaani mujhey bhi Rasool Allah par salaam bhejne mein
koi aetraaz nahi) lekin Rasool Allah ne hamey yuh sikhlaya hai (cheenk
k baad) hum "ALHAMU LILLAHI ALA KULLI HAAL" (yaani har haal mein Allah
ta'ala ka shukr hai) kahe (lihaza jo sunnat tareeqa hai wahi ikhtiyaar
karo). (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2200)
6. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat kare
hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Hajra e aswad ko
mukhatib karke kaha "Wallah! mein jaanta hu tu ek patthar hai na nuksaan
pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai agar mene Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko istalaam (hajra e aswad ko haath laga kar
boosa dena) na karte dekha hota to tujhe kabhi boosa choomta nahi" phir
farmaya ab hamey ramal karne ki kya zarurat hai, ramal to dushmano ko
dikhane k liye tha ab to Allah ta'ala ne unhe halaak kar diya, phir khud
hi farmaya lekin ramal to wo cheez hai jo Rasool Allah Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai aur sunnat chootna hamey pasand nahi. (Al
loo loo wal Marjaan juzz e Awwal Hadees no. 799)
7. Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jab khana laya jata to Aap Sallallahu
Alaihi Wa Sallam us se tanawul farmane k baad mere paas bhej dete, ek
rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bartan joo ka tooh khaye bagair
meri taraf bhej diya kyunki unme lahsun tha, mene Aap Sallallahu Alaihi
Wa Sallam se pucha "Kya lahsun haraam hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne farmaya "Nahi! lekin mein uski booh ki wajah se use pasand
nahi karta". (Sahih Muslim Kitabul Ashraba)
8. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E
Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch
cheezo par hai, Allah ta'la ki touheed, namaz qayam karna, zakaat ada
karna, ramazaan k roozey aur hajj ada karna" ek aadmi ne (baat dohrakar)
pucha "Hajj aur ramazaan k roozey?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi
Allahu Anhu ne farmaya "(Nahi) ramazaan k roozey aur hajj, mene Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se is tarteeb se hadees suni thi".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
9. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu farmate hai mene Abdullah
bin Umar Razi Allahu Anhu ko khuley batno k saath namaz padhte hue
dekha, to mene unse pucha "Aap aesa kyu karte ho?" to Abdullah bin Umar
Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ko aese hi namaz padhte hue dekha hai". (Sahih Ibne Khuzaima,
Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal)
10. Hazrat Mujahid Rahimahullah kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi
Allahu Anhu k saath ek safar mein ja rahe they ek jagah se guzrey, to
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu raaste se door hatt gaye, unse
pucha gaya "Aapne aesa kyu kiya?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu
Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko
aese hi karte dekha hai, isliye mene aesa kiya hai". (Sahih Targeeb wa
Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 44)
11. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai mein Hazrat
Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath arfaat mein tha jab wo kahi
jaate to mein bhi unke saath jata, yaha tak k hum imam k paas pahunchey
aur uske saath namaz e zuhar wa asar (jama kar k) ada ki, phir Abdullh
bin Umar Razi Allahu Anhu ne waqoof farmaya, to mein aur mere saathiyo
ne bhi unke saath waqoof kiya, yaha tak k imam (arfaat se) wapas loote
to hum bhi unke saath wapas loote yaha tak k usi tang raaste par
pahunchey jo maaz mein (jagah ka naam) se pehle hai waha pahunch kar
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne apni sawaari bithwa di aur
humne abhi apni sawaariya bitha di, hamara khayal tha k ab Hazrat
Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz padhenge lekin jo mulazim unki
sawari par mutaeen tha, usne bataya k Hazrat Abdullah bin Umar Razi
Allahu Anhu namaz nahi padhna chahte balke Nabi E Akram Sallallahu
Alaihi Wa Sallam yaha pahunch kar haajat e zarooriya se farig hue they,
chunanchey Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu bhi usi jagah
haajat e zaruriya se faarig hona pasand karte they. (Sahih Targeeb wa
Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 46)
12. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai k Hazrat Anas
bin Malik Razi Allahu Anhu shaam se tashreef laye to aeen tamar k muqaam
par humne unka istaqbaal kiya, mene unhe gadhey par namaz padhte dekha
aur gaadhey ka rukh qibley ki bajaye qibley k daaye taraf tha, mene
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se pucha "Aapne qibley ki taraf rukh kiye
bagair namaz kyu padhi hai?" unhone farmaya "Agar mein Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah namaz padhte na dekhta to kabhi
namaz na padhta". (Sahih Bukhari wa Muslim Kitabut Tafseerus Salaat)
13. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sooney (gold) ki ek angoothi banwayi, to
Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam
ko dekha dekhi angoothiya banwali, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne
farmaya "Mene sooney ki angoothi banwayi thi" (tumne bhi banwaali)
chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne angoothi utaar phenki aur
farmaya "Ab mein kabhi istemaal nahi karunga" (Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ki itteba mein) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi apni
apni angoothiya utaar kar phenk di. (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil
Kitabis Sunnah)
14. Sahabi E Rasool Hazrat Ibne Hanzala Razi Allahu Anhu se riwayat
hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar khareem
asdi k baal lambey na hoote aur tahband neechey latka na hota to bahut
accha aadmi lagta" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye baat
khareem asdi tak pahunchi, to khud hi churi le kar kaano tak apne baat
kaat diye aur tahband nisf pindliyo tak uncha kar liya. (Sahih Sunan Abu
Dawood Juzz e Saani Hadees no. 4461)
15. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E
Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein sooney ki
angoothi dekhi to use utaar kar phenk diya aur farmaya "Tum mein se koi
sooney ki angoothi pehan kar gooya aag k angaarey ka qasad karta hai"
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k tashreef le jaane k baad us
aadmi se kaha gaya angoothi utha lo aur us se koi (doosra) faida hasil
karlo (yaani apni beewi ya behan ko de do ya farokht karo) Sahabi ne
kaha "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne phenk diya hai use kabhi na uthaunga". (Sahih Mulim Kitabul
Libaas waz Zeenah)
16. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba juma k
din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (khutba dene k liye) mimbar
par tashreef laaye to farmaya "loogo! baith jao" Hazrat Abdullah bin
Masood Razi Allahu Anhu ne suna to masjid k darwaazey par hi baith gaye,
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha to farmaya "Abdullah!
masjid k andar aa kar baitho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz E Awwal
Hadees no. 203)
No comments:
Post a Comment