TAUHEED E SIFAAT PART 3
Bismillahirrahmanirraheem
HAR WAQT AUR HAR JAGAH BANDO KI DUA SUN'NE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
HAR JAGAH HAZIR NAZIR (APNI QUDRAT AUR ILM K SAATH) SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
HAR JAGAH HAZIR NAZIR (APNI QUDRAT AUR ILM K SAATH) SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
"Aur ae Nabi mere bandey jab tumse mere mutalliq puchey to unhe bata
do k mein unse qareeb hi hu pukaarne wala jab mujhe pukaarta hai mein
uski pukaar sunta hu aur jawab deta hu lihaza unhe chahiye k meri dawat
par labbaik kahe aur mujh par emaan laye takey loog raah e raast pa
ley". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)
"Aur Allah ta'ala tumhare saath hai jaha bhi tum ho aur jo kaam bhi
tum karte ho use wo dekh raha hai". (Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no.
4)
Hazrat Abu Musa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek safar mein they loog buland
aawaaz se takbeer kehne lagey to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne
farmaya: "Apni jaano par narmi karo, (yaani anpi aawaaz nichi rakkho)
kyunki tum kisi behrey ya gayib ko nahi pukaar rahe ho balkey use pukaar
rahe ho jo (har jagah) sun'ne wala hai tumhare nazdeek hai aur (har
waqt apne ilm aur qudrat k sabab) tumhare saath hai". (Sahih Muslim
Kitabuz zikr wa dua)
DILO MEIN CHUPEY BHAID SIRF ALLAH TA'ALA HI JAANTA HAI
"Tum loog khawah aahista baat karo ya unchi aawaaz se (Allah ta'ala k
liye yaksa hai kyunki) wo dilo k bhaid jaanta hai, kya wahi na jaanega
jisne loogo ko paida kiya hai? halankey wo poshida baato se bhi
ba'khabar hai". (Surah Mulk Surah no. 67 Ayat no. 13-14)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu
Alaihi Wa Sallam maheena bhar ruku k baad qunoot padhte rahe jime banu
saleem k qaba'il k liye bad'dua farmate rahe Hazrat Anas Razi Allahu
Anhu kehte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne chalees (40) qura
(yaani ulama) ko baaz mushriko k paas (deen sikhaane k liye) bhejey banu
saleem k loog muqabile mein utar aye aur un qura ko qatal kar daala
halankey banu saleem aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k
darmiyaan ahad tha (lekin banu saleem ne gaddari ki) Hazrat Anas Razi
Allahu kehte hai mene Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko itna
ranjeeda kabhi nahi dekha jitan us maoukey par dekha tha. (Sahih Bukhari
Kitabul Jihaad was Sabr)
DEEN WA DUNYA KI TAMAAM BHALAIYA SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN
HAI JISE CHAHTA HAI ATA KARTA HAI JIS'SE CHAHTA HAI CHEEN LETA HAI
"Kaho ae Allah! kainaat k baadshah, tu jise chahey hukumat de, jis’se
chahey cheen le jise chahaye izzat bakhshey jisko chahey zaleel kare,
bhalayi tere ikhtiyaar mein hai, beshak tu har cheez par qadir hai".
(Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 36)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu
Alaihi Wa Sallam ye dua ba'kasrat maanga karte they "RABBANA AATINA FID
DUNYA HASANATAU WAFIL AAKHIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR" "Ya
Allah! hame duya mein bhi bhalayi ata farma aur aakhirat mein bhi hame
aag k azaab se bacha le". (Muttafiqun Alai, Mishkaat baab jamey dua
fasal awwal)
DILO KO PHAIRNE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
"Ae loogo jo emaan laye ho, Allah ta'ala aur uske Rasool ki pukaar
par labbaik kaho jab k Rasool tumhe us cheez ki taraf bulata hai jo
tumhey zindagi bakhshne wali hai aur jaan rakko k Allah ta'ala bandey
aur uske dil k darmiyaan hayil hai aur usi ki taraf tum ikatthey kiye
jaoge". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 42)
Hazrat Shahar bin Hoshab Razi Allahu Anhu kehte hai mene ummul
momineen hazrat e Salma Razi Allahu Anha se arz kiya "Rasool E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab aap k paas hote to konsi dua sabse
zayada padhte? Hazrat Ummul Momineed Salma Razi Allahu Anha ne farmaya
"Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zayada tar dua ye hoti "YA
MUQALLABIL QULOOBI SABBAT QALBI ALA DEENIKA" (Ae loogo k phairne wale
mera dil apne deen par jama de) mein (ummey Salma) ne arz kiya "Ya
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap aksar ye dua kyu maangte
hai aapne irshad farmaya: Ae Ummey Salma! koi aadmi aesa nahi jiska dil
Allah ta'ala ki do ungliyo k darmiyaan na ho phir jise wo chaahta hai
(deen e haqq par) qayam rakhta hai jise chahta hai (raah e raast) se
hata deta hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2792)
RIZK DENE AUR NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
RIZK MEIN TANGI YA FARAKHI KARNE WALA BHI SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
RIZK MEIN TANGI YA FARAKHI KARNE WALA BHI SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
"Aur apni aulaad ko gurbat k darr se qatal na karo hum unhe bhi rizk
denge aur tumhe bhi, darhaqeeqat aulaad ka qatal ek bada gunah hai".
(Surah Bani Israeel Surah no. 17 Ayat no. 31)
"Ae Nabi inse kaho mera rabb jise chahta hai kushaada rizk deta hai
jise chahta hai tang deta hai lekin aksar loog (iski haqeeqat) nahi
jaante". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 36)
Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram
Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo Ahadees Allah ta'ala se riwayat karte hai
(unmey se ek ye hai) k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab
bhookey ho siwaye uske jise mein khilau pas mujse khana maango mein
tumhey khilaunga, ae mere bando tum sab nangey ho siwaye uske jise mein
pehnaau pas tum mujhse libaas maango mein tumhey (libaas) pehnaaunga".
(Sahih Muslim Baab fi tahreemul zulm)
AULAAD DENE YA NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
BAITEY AUR BAITIYA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
BAITEY AUR BAITIYA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
"Allah ta'ala zameen aur aasmaan ki baadshahi ka malik hai jo kuch
chaahta hai paida karta hai jise chahta hai ladkiya deta hai jise chahta
hai ladkey deta hai jise chahta hai ladkey aur ladkiya mila jula kar
deta hai aur jise chahta hai baanj kar deta hai wo sab kuch jaanta hai
aur har cheez par qaadir hai". (Surah Shura Surah no. 42 Ayat no. 49-50)
Ibne Shahaab kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne
Hazrat Ruqaiyya Razi Allahu Anha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa
Sallam k baad unki behan Hazat Ummey Kulsoom Razi Allahu Aaha binte
Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nikah bhi Hazrat Usman bin Affan
Razi Allahu Anhu se hi kar diya, Hazrat Ruqaiya Razi Allahu Anha Hazrat
Usman Razi Allahu Anhu k aqd e nikah mein hi faut hui lekin unke han
koi aulaad na hui. (Tabraani Hadees no. 75)
SEHAT AUR SHIFA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
"Allah ta'ala ne mujhe paida kiya wahi meri rehnumayi farmata hai
wahi mujhe khilaata hai aur pilaat hai aur jab mein bimaar ho jata hu to
mujhe shifa deta hai wahi mujhe maut dega aur phir dobaara zindagi
bakhshega usi se mein ummed rakhta hu k rooz e jaza meri khata maaf
farmayega". (Surah Shu’ara Surah no. 26 Ayat no. 78-82)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu
Alaihi Wa Sallam baaz bimaar loogo k jism par dahina haath phairte aur
ye dua farmate "AZHIBIL BAASA RABBAN NAASI WASHFI ANTASH SHAAFI LA
SIFA'A ILLA SHIFA’UKA SHIFA'AN LA YUGAADIRU SAQAMA" yaani "Ae loogo k
rabb! bimaari door farma aur shifa inayat kar kyunki tu hi shifa dene
wala hai asal shifa wahi hai jo tu inayat farmaye aesi sehat ata farma k
kisi qism ki bimaari baaqi na rahey". (Sahih Bukhari Kitabut Tibb)
HIADAYAT DENA SIRF ALLAH ATA'ALA HI K IKHTAYAAR MEIN HAI
"Ae Nabi tum jise chaho use hidayat nahi de sakte lekin Allah jise
chahta hai hidayat deta hai aur Allah ta'ala un loogo se khoob wakif hai
jo hidayat qubool karne wale hai". (Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no.
56)
Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jin hadeeso mein
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala se riwayat karte
hai unme se ek ye hai k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab
gumraah ho siwaye uske jise mein hidayat du pas mujhse hidayat maango
mein tumhey hidayat dunga". (Sahih Muslim Kitabul Ilm Baab Tahreemul Ilm)
To Be Continued......
No comments:
Post a Comment